siine me.n jalan aa.Nkho.n me.n tuufaan saa kyuu.N hai
is sheher me.n har shaKs pareshaan saa kyuu.N hai
dil hai to dha.Dakane kaa bahaanaa koI Dhuu.nDhe
patthar kii tarah behis-o-bejaan saa kyuu.N hai
tanahaaI kii ye kaun sii ma.nzil hai rafiiqo.n
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.N hai
kyaa koI naI baat nazar aatii hai ham me.n
aaInaa hame.n dekh ke hairaan saa kyuu.N hai
No comments:
Post a Comment